Tumblr Mouse Cursors

4 Lines Poetry

Woh paagal larrki ab sudharti jaa rahi hai..


Shokhiyaan chorr di us ne abb ke,
Har rang main udaasi ghulti ja rahi hai,
Uss roothne wale se kaho dekh le aa kar,
Woh paagal larrki ab sudharti jaa rahi hai..


No comments: 




 Iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya..

Iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya,Har baat ik azaab se dochaar kar geya,
Rasta badal ke bhi dekha magar woh shakss,
Dil main utar ke saari hadhain paar kar geya..

No comments: 


Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai..

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,
Tu sitam kar le teri taaqat jahan tak hai,
Wafaa ki umeed kissi aur ko ho gi,
Humen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai..

No comments: 

Humen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai..4 / 5


 Sab kuch hai paas lekin kuch bhi nahi raha..


Sab kuch hai paas lekin kuch bhi nahi raha,
Uss ki hi justujuu thi wohi nahin raha,
Kehta tha ik pall na rahoon ga tere baghair.
  Hum dono reh gaye, woh vaada nahin raha...

No comments: 



 Woh manzar na woh chehre nazar aatey hain..

Ab na woh manzar na woh chehre nazar aatey hain,
Mujh ko maloom na tha khawb bhi mar jaatey hain,
Jaane kis haal main hum ke humen dekh kar sab,
Aik pall ke liye rukte hain, guzar jaatey hain..



Dukh bhi deta hai woh dawaa bhi deta hai..

Dukh bhi deta hai woh dawaa bhi deta hai,
Mujhe woh mohabbat karne ki sazaa bhi deta hai,
Main yaad karoon to usey yaad aati hai meri,
Warna aksar woh mujhe bhulaa bhi deta hai..



Tum ne to keh diya ke mohabbat nahin mili..

Tum ne to keh diya ke mohabbat nahin mili,
Hum ko to yeh bhi kehne ki fursat nahi mili,
Phir ikhtlaaf-e-raaye ki suurat nikal parri,
Apni yahan kisi se bhi aadat nahin mili..



Na jawab ban kar mila karo..

Na sawaal ban kar mila karo, na jawab ban kar mila karo,
Meri zindagi mere khawb hain, mujhe khawb ban kar mila karo,
Abhi sochna hai to soch lo, abhi chorna hai to chorr do,
Naye mausmon mein milo mujhe to gulaab ban kar mila karo..



Kabhi iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya..

Kabhi iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya,
Har baar ik naye azaab se dochaar kar geya,
Rasta badal badal kar bhi dekha magar woh shakss,
Dil main utar kar woh saari hadhain paar kar geya..



Kuch main bhi thak gayi hoon usey dhoondte..

Kuch main bhi thak gayi hoon usey dhoondte dhoondte,
Kuch zindagi ke pass bhi mohlat nahin rahi,
Us ki aik aik adaa se jhalakne laga tha khuloos,
Jab mujh ko hi aitbaar ki aadat nahin rahi..




Dil-o-dimagh main kesa bhanwar bana hua hai..

Dil-o-dimagh main kesa bhanwar bana hua hai,
Zameer mere liye dard-e-sar bana hua hai,
Main apni chhat ke liye kaat’ta zaroor magar,
Shajjar mein kitne parindon ka ghar bana hua hai..




Mere jism boseeda mein zara jo jaan baaqi hai..

Mere jism boseeda mein zara jo jaan baaqi hai,
Kisi ke laut aaney ka koi imkaan baaqi hai,
Woh chahe rasta badle, chahe raabta badle,
Usey mujh se mohabat hai, mera imaan baaqi hai..




Kitna shafaaf tha manzar mera..

Kitna shafaaf tha manzar mera,
Kitni dhool urri hai mujh mein,
Zindagi raqss kabhi karti thi,
Ab to chup chaap parri hai mujh mein..




Maqrooz ke bigrre huye halaat ki maanid..

Maqrooz ke bigrre huye halaat ki maanid,
Majboor ke honton pe sawalaat ki manind,
Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hai,
Sailaab se barbaad makanaat ki manind..




Sab fasaaney hain duniya daari ke..

Sab fasaaney hain duniya daari ke,
Kis ne kis ka sakoon loota hai,
Sach to yeh hai ke is zamane mein,
Main bhi jhoota hoon tu bhi jhoota hai..




Kitne nadaan they tufaan ko kinara samjha..

Kitne nadaan they tufaan ko kinara samjha,
Kitne bejaan saharon ko sahara samjha,
Kitne kam’zarf they woh log jo saahil pe they,
Hamen doobta dekha aur nazaara samjha..




Tu ne nafrat se jo dekha hai to to yaad aya..

Tu ne nafrat se jo dekha hai to to yaad aya,
Kitne rishte teri khaatir yunhi torr aya hoon,
Kitne dhundhley hain yeh chehre jinhe apnaaya hai,
Kitni ujli theen woh ankhen jinhe chorr aya hoon..






Yeh hala’aa hai arsh-e-bareen nahin..

Yeh hala’aa* hai arsh-e-bareen* nahin,
Kahan paaon rakhoon zameen nahin,
Tere dar pe sajde ka shauq hai,
Jo yahan nahin to kaheen naheen..


Qasam de ke apni tujhe rok ley ga..

Qasam de ke apni tujhe rok ley ga,
teri laghzishon* pe tujhe ttok de ga,
Tu murr murr ke pechey kisey dekhta hai,
Tera kon hai jo tujhe rok ley ga..


Kahan koi aisa mila jis par hum duniya luta dete..

Kahan koi aisa mila jis par hum duniya luta dete,
Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,
Apne dil ka zakhm dil me hi dabaye rakha,
Bayaan karte to mehfil ko rulaa dete..


Yeh ajab soorat-e-haal huyi jati hai..

Yeh ajab soorat-e-haal huyi jati hai,
Raat ke baad yahan raat huyi jati hai,
Woh to ab bhi mukammal hai kisi pathar ki tarah,
Raizaa raizaa to meri zaat huyi jati hai..


Aag paani mein lagane ka hunar seekha hai..

Aag paani mein lagane ka hunar seekha hai,
Kaam mushkil hai bohat hum ne magar seekha hai,
Yeh jo chaltay nazar aatay hain musalsal hum log,
Kuch to paanay ki talab hai jo safar seekha hai..


Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya..


Kuch aansu, kuch khushiyan de ker ttaal geya,
Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya,
Kon jaaney ke kal ka samaa kesa ho ga,
Ab tak to kal sa hi hai sab haal geya..


Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me..


Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me
Yaad Bahut Aate Ho Din Aur Raat Me
Kal Jab Dekha Tha Mene Sapna Raat Me
Tab Bhi Apka Hi Hath Tha Mere Hath Me..


Band krtay ho Jo Hathon se Tum Ankhen Meri..


Band krtay ho Jo Hathon se Tum Ankhen Meri.
Kya kahun Mai k Mera Dheyan kahan jata hai…

Aarzoo Vasal ki hoti hai sawa, baad Vasal.
Jaan jati hai ye Armaan kahan jata hai..


Meri Nazar Main Rahti Hai Ek Khwab Si Larki..

Meri Nazar Main Rahti Hai Ek Khwab Si Larki,
Jaisey Saans Leti Huvi Mahtaab Si Larki,
Main Us Sey Faasla Na Rakhta To Or Kiya Karta,
Main Hawaon Sa Paagal, Woh Chiragh Si Larki…


Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon..

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon,
Kaash Main Bhi Kabhi So Ker Dekhoon.
Shayed Ubhre Teri Tasveer Kaheen,
Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon..


Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay..

Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna
Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna


Mujhy Chhor Day Meray HaaL Par..

Mujhy Chhor Day Meray HaaL Par,
Tera Kya Bharosa Aey Hum Safar. . .!
Teri Mukhtasar Si Nawazishain
Mera DarD Aur Barhaa Na Dain..!!


Baqi Jahan mei Qais na Farhad reh gya..


Baqi Jahan mei Qais na Farhad reh gya.
Afsana Aashiqon ka faqt yaad reh gya.
.
Pabandiyon ny Ishq ki Be’kas rakha Mujhy.
Mai so Aseeriyon mei bhi Azaad reh gya.


Har ikk shab meri taza azaab me guzari..


Har ikk shab meri taza azaab me guzari
Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari
Main aik phol hon wo mujh ko rakh k bhol gea
Tamam umer usi ki kitab me guzari


Tasawwar Me Zaroor Aao..



Tasawwar Me Zaroor Aao, 
Mager Tairna To Seekho, 
Tum Aksar Doob Jate Ho, 
Mere Ashkon Ke Pani Me….



Ye Qayaam Kesa Hai Raah Me..



Ye Qayaam Kesa Hai Raah Me
Tere Zauq-e-Ishq Ko Kya Hua

Abhi Chaar Kantay Chubhe Nahi
Tere Sub Iraaday Badal Gaye...



Raat Gehri Thi Dar Bhi Sakte The..



Raat Gehri Thi Dar Bhi Sakte The
Hum Jo Kehte The Kar Bhi Sakte The
Tum Jo Bichre Hum Se Ye Bhi Na Socha
Hum To Pagal The Mar Bhi Sakte The...

1 comment: