Tumblr Mouse Cursors

Ghazals

Here You Can Find The Lyrics Of Ghazals:


Meri Dastaan-e-Hasrat Wo Suna Suna k Roay...

Meri dastan-e-hasrat woh suna suna kay roay 
Meray aazmanay walay mujay aazma kay roay 

Meri arzo ki duniya dil-e-na tawan ki hasrat 
Jisay pa kay shaadman thay ussay kho kay aaj roay 

Koi aisa ehal-e-dil ho Ke fasanaye mohabbat 
Main ussay suna kay royon woh mujay suna kay roay 

Teri bewafaiyon par teri kaj addaiyon par 
Kabhi Sar jhuka kay roay kabi moo chupa kay roay 

Jo sunayee anjuman nay shab-e-gham ki aap beeti 
Kai ro kay muskaraye ,kai muskara kay roay 


Meri dastan-e-hasrat woh suna suna kay roay 
Meray aazmanay walay mujay aazma kay roay 







Chupke Chupke Raat Din,, By Ghulam Ali

Chupke chupke raat din aansuu bahanaa yaad hai
Ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai

Tujhase milate hi vo kuch Bebaak ho jaanaa meraa
Aur teraa daaton mein vo Ungalii dabaanaa yaad hai

Chori Chori ham se tum aa kar mile the jis Jagah
Muddatein Guzarin par ab tak wo Thikaanaa yaad hai

Khinch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan
Aur Dupatte se teraa vo Moonh Chhupaanaa yaad hai

Do-pahar ki dhuup mein mere bulaane ke liye
Vo teraa kothe pe nange paaoon aanaa yaad hai

Baahazaaraan iztiraab-o-sad-hazaaraan ishtiyaaq
Tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai

Jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa
Aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai

Tujh ko jab tanhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz
Hal-e-dil baatoon hii baatoon mein jataanaa yaad hai

Jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa
Sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai

Gair kii nazaroon se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf
Vo teraa chorii chhipe raatoon ko aanaa yaad hai

Aa gaya gar vasl kii shab bhii kahiin zikr-e-firaaq
Vo teraa ro ro ke bhi mujhko rulaanaa yaad hai

Dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se
Jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai

BeruKhii ke Saath sunaanaa Dard-e-Dil kii dastaan
Aur kaliye mein tera vo kangan ghumaanaa yaad hai

Vaqt-e-RuKhsat Alvidaa kaa Lafz Kahane ke liye
Vo Tere Sukhe Laboon kaa thar-tharaanaa yaad hai

Baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe
Aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai...




Baat Krni Mujhy Mushkil Kbhi Aesy To Na Thi...

Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Jesi Ab Hay Teri Mehfil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Lay Gia Cheen Kay Kyun Aaj Tera Sabr -o- Qaraar
Be Qarari Tujhay Ay DIL Kabhi Aisi Tu Na Thi
Chashm -e- Qatil Meri Dushman Thi Humaysha Lakin
Jesi Ab Ho Gai Qatil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Un Kay Aankhon Nay KHUDA Janay Kia Kiya Jadu
Keh Tabiyat Meri Maa’el Kabhi Aisi Tu Na Thi
Aks -e- Rukh -e- Yaar Nay Kis Say Hay Tujhay Chamkaya
Tab Tujh Main Mah -e- Kaamil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Kia Sabab Tu Jo Bigarta Hay “Zafar” Say Har Baar
Khu Teri Hur -e- Shamil Kabhi Aisi Tu Na Thi





Har Ek Baat Pe kahate Ho Tum keh Tuu kyaa Hai ..

har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai
tumhii.n kaho ke ye a.ndaaz-e-guftaguu kyaa hai 
na shole me.n ye karishmaa na barq me.n ye adaa
koii bataao ki vo shoKh-e-tu.ndaKhuu kyaa hai 
ye rashk hai ki vo hotaa hai hamasuKhan hamase
vagarnaa Khauf-e-badaamozii-e-ad kyaa hai 

chipak rahaa hai badan par lahuu se pairaahan 
hamaarii jeb ko an haajat-e-rafuu kyaa hai 

jalaa hia jism jahaa.N dil bhii jal gayaa hogaa
kuredate ho jo ab raakh justajuu kyaa hai 
rago.n me.n dau.Date phirane ke ham nahii.n qaayal
jab aa.Nkh hii se na Tapakaa to phir lahuu kyaa hai 
vo chiiz jisake liye hamako ho bahisht aziiz
sivaa_e baadaa-e-gulfaam-e-mushkabuu kyaa hai 

piyuu.N sharaab agar Khum bhii dekh luu.N do chaar 
ye shiishaa-o-qadaah-o-kuuzaa-o-subuu kyaa hai 

rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii 
to kis ummiid pe kahiye ke aarazuu kyaa hai 

banaa hai shaah kaa musaahib, phire hai itaraataa 
vagarnaa shahar me.n "Ghalib" kii aabaruu kyaa hai 




Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota..


Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar Say Chaao Sey Bare Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat Ke Khizaan Lamhom Mein

Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghomati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak sa Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choma Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par Jati
Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Main Tere Kan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Choma Karta

Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta

Mujh Ko Bey Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Rooh Ke Gulshan Mein Meehakta Rehta

Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kanghan Hota..





Yeh Na Thi Hamari Kismat, Ke Visaal-e-Yaar Hota..


Yeh Na Thi Hamari Kismat, Ke Visaal-e-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehate, Yehi Intezaar Hota
Koi Mere Dil Se Puche, Tere Teer-e-Nimkash Ko
Yeh Khalish Kaha Se Hoti, Jo Jigar Ke Paar Hota
Yeh Kaha Ki Dosti Hai, Ke Bane Hai Dost Naaseh
Koi ChhaarSaaz Hota, Koi Gam Gusaar Hota
Kahu Kis Se Mei, Ke Kya Hai Shab-e-Gham Buri Bala Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marana, Agar Ek Baar Hota
Yeh Masaail-e-Tasavuff, Yeh Tere Bayaan ‘Ghalib’
Tujhe Hum Wali Samjhte, Jo Na BadaaKhaar Hota.



Aah Ko Chahiye Ek Umra Asar Hone Tak,,,



Aah Ko Chahiye Ek Umra Asar Hone Tak
Kon Jita Hai Teri Julf Ke Sar Hone Tak
Aashiqui Sabra Talab Aur Tamanna Betab
Dil ka Kya Rang Kahun Khun-e-Jigar Hone Tak
Hum Ne Mana Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak
Gum-e-Hasati Ka Asad kis Se Ho Juz Marg Ilaaj
Shama Har Rang Jalati Hai Sehar Hone Tak


Hazaro Khvaaishey Aisi Ki Har Khvaaish Pe Dam Nikale..


Hazaro Khvaaishey Aisi Ki Har Khvaaish Pe Dam Nikale
Bahot Nikale Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikale
Nikalanaa Khuld Se Aadam Ka Sunate Aaye Hai Lekin
Bahot Beaabaroo Hokar Tere Kuche Se Ham Nikale
Magar Likhvaaye Koi Usko Khat To Hamse Likhvaaye
Huee Subah Aur Ghar Se Kaan Par Rakh kar Kalam Nikale
Mohabbat Mein Nahi Hai Farq Jine Aur Marne Kaa
Usi Ko Dekh Kar Jite Hai Jis Kafir Pe Dum Nikale
Zara Kar Jor Sine Par Ki Teer-e-Pursitam Nikale
Jo Vo Nikale To Dil Nikale Jo Dil Nikale To Dam Nikale
Khuda Ke Vaaste Pardaa Na Kaabe Se Utha Zaalim
Kahi Aisa Na ho Yaa Bhi Vahi Kafir Sanam Nikale
Kahaa Maikhane Ka Darwaza ‘Ghalib’ Aur Kahaan Vaaiz
Par Itana Jaanate Hai Kal Vo Jaata Tha Ke Ham Nikale


Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..


 Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta
 Lekin wo tera vaada jhuta bhi nahi lagta
 Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta 
 
 Milta hai sukoon dil ko uss yaar ke kuche mein 
 Har roz magar jaana achha bhi nahi lagta 
 Lekin wo tera vaada jhuta bhi nahi lagta
 Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta 
 
 Dekha hai tujhe jabase bechain bahot hai dil 
 Kehane ko koi tuzhase rishta bhi nahi lagta 
 Lekin wo tera waada jhuta bhi nahi lagta
 Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta 
 
 Baare mein katil usake sochen bhi to kya sochen 
 Wo gair nahi lekin apana bhi nahi lagta 
 Lekin wo tera waada jhuta bhi nahi lagta
 Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta...


Aksar shab-e-tanhai mein, Kuch dair pehlay neend say..


Aksar shab-e-tanhai mein, Kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian, Beetay huay din aish k
Buntay haiN shama-e-zindagi, Aur Daaltay haiN roshni
Meray dil-e-sud chaak per...

Woh bachpan aur wo saadgi, Woh rona woh hansna kabhi
Phir woh jawani kay mazay, Woh dil lagi woh qehqahay
Woh ishq woh ehd-e-wafa, Woh wada or woh shukriya
Woh lazzat-e-bazm-e-tarb, Yaad aati hain ik aik sab.......

Dil ka kanwal jo roz-o-shab, rehta shagufta tha so ab
Os ka yeh ab tar haal hai, ik sabza-e-pamaal hai
Ik phool kumlaya hua, sookha hua bikhra hua
Ronda parda hai khaak per...

Yunhi shab-e-tanhai main, kuch dair pehlay neend say
Guzri hui na-kaamiyan, beetay huay din ranj kay
Bantay hain shama-e-baykasi, aur Daltay hain roshni
Un hasraton ki qabr per...

jo aarzooain pehlay theen, phir Gham say hasrat ban gaein
Gham dooston k faut ka, un ki jawaan mout ka
lay daikh sheeshay main meray, un hasraton ka khoon hai
jo gardish-e-ayyam say, jo qismat-e-nakaam say
ya aish-e-gham anjaam say, marg-e-but-e-gulfaam say
khud dil mein meray mer gaein, kis tarha paaon main hazeen
qaaboo dil-e-sadchaak per..

jab aah un ahbab ko, main yaad ker uthta hoon jo
yun mujh say pehlay uthh gaye, jis tarha taaier (birds) baaGh k
ya jesay phool aur pattiyan, gir jain sab qabl khizan
aur Khushk reh jaye shajr...

us waqt tanhai meri, bun ker mujassam baykasi
ker deti hai pesh-e-nazar, ho haq sa ik weeran ghar
berbaad jis ko chor ka, sub rehnay walay chal basay
TooTay kiwaaR or khiRkiyaN, chat (ceiling) k Tapaknay k nishaN
pernaalay haiN rozan nahin, yeh hall hain aaNgan nahin
perday nahiN, chilman nahin, ik shama tak roshan nahin
meray siwa jiss main koi, jhankay na bhoolay say koi
woh khana-e-shali hai dil, poochay na jis ko dev koi
ujra hua weeran ghar...

aksar shab-e-tanhai main, kuch dair pehlay neend say
guzri hui dil-chuspian, beetay huay din aish k
bantay haiN shama-e-zindagi, aur Daltay haiN roshni
meray dil-e-sud chaak per...


Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi..


Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
Jaisi ab hai, teri mehfil, kabhi aisi to na thi

Le gayaa chin ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
Beqaraari tujhe, ae dil! kabhi aisi to na thi

Un ki aankhon ne, Khuda jaane, kiyaa kyaa jadu
Yeh tabeeyat meri maa'il kabhi aisi to na thi

Chashme qatil mere dushman thi hamesha lekin
Jaise ab hogaee qatil aisee to na thi


Kyaa sabab tu jo bigar taa hai 'Zafar' se har baar?
Khu teri hoor-e-shamaa'il kabhi aisi to na tha

Aaks-e-rukh-e-yarr ne kis se hai tujhe chamakaya
Tab  tujh me mah-e-kamil  kabhi aisi to na thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
Jaisi ab hai, teri mehfil, kabhi aisi to na thi..



Ahat si koi aaye to lagataa hai ke tum ho..


Ahat si ko_i aaye to lagataa hai ke tum ho Saayaa ko_i laharaaye to lagataa hai ke tum ho Jab shaakh ko_i haath lagaate hi chaman me Sharmaae lachak jaaye to lagataa hai ke tum ho Sadal se mahakati hu_i puraqaif hawaa kaa Jhokaa ko_i takaraaye to lagataa hai ke tum ho
Raste ke dhundhalake me kisi mod pe kuchh dur Ik lau si chamak jaaye to lagataa hai ke tum ho Odhe hu_e taaro ki chamakati hu_i chaadar Nadiyaa ko_i bal khaaye to lagataa hai ke tum ho Jab raat gaye ko_i kiran mere baraabar Chupachaap se so jaaye to lagataa hai ke tum ho..



Aap Ki Yaad Ati Rahi Raat Bhar..


Aap Ki Yaad Ati Rahi Raat Bhar...raat Bhar 
Chasmein Num Muskurati Rahi Raat Bhar 

Aap Ki Yaad Ati Rahi Raat Bhar ...raat Bhar 
Aap Ki Yaad 

Koyi Dewana Galiyon Mein Phir Ta Raha 
Koyi Dewana Galiyon Mein Phir Ta Raha 

Koyi Awaaz Ati Rahi Raat Bhar...raat Bhar 
Chasmein Num Muskurati Rahi Raat Bhar 

Aap Ki Yaad Ati Rahi Raat Bhar Raat Bhar 

Dard Kai Chand Dil Mein Utar Tai Rahey 
Dard Kai Chand Dil Mein Utar Tai Rahey 

Chandni Jagmagti Rahi Raat Bhar...raat Bhar 
Chasmein Num Muskurati Rahi Raat Bhar 

Aap Ki Yaad Ati Rahi Raat Bhar Raat Bhar..




Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain..

Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain
Jis tarah sukhe huye phool kitabon mein milain
Dhoond ujre huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milain
Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha bardhta hai sharabein jo sharabon mein milain
Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain tou kyun hijabon mein milain
Aaj hum daar pe khainchay gaye jin baaton par
Kya ajab kal wo zamaanay ko nisaabon mein milain
Ab na wo main , na woh tu hai, na wo maazi hai “Faraz”
Jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milain..


Apni dhun mein rehta hun..

Apni dhun mein rehta hun,
main bhi tere jaisa hun.
O pichhli rut ke saathi,
ab ke baras main tanha hun.
Teri gali mein saara din,
dukh ke kankar chunta hun.
Mujh se aankh milaaye kaun,
main tera aaina hun.
Mera diya jalaaye kaun,
main tera khaali kamra hun.
Tere siwa mujhe pehne kaun,
main tere tan ka kapda hun.
Tu jeevan ki bhari gali,
main jangal ka rasta hun.
Aati rut mujhe royegi,
jaati rut ka jhonka hun.
Apni lehar hai apna rog,
dariya hun aur pyaasa hun. !!


Diya Khud Se Bujha Dena..


Diya Khud Se Bujha DenaHawa Ko Aur Kia Dena ?
Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena



Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad..

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad
Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad
Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad
Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad
Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad



Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi..
Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?
Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali
Chaahaton Ki Hari Bhari Daali
Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi
Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi
Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi
Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish
Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di



Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din..

Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga
Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat
Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din
Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal
Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din
Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed
Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din
Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye “Jhon” ! Mar Gaye Mere Din



Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye..
Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbuu Aaye
Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehluu Aaye
Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataaya Mujh Ko
Meri Jaanib Tere Phailay Howay Bazoo Aaye
Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnuu Aaye
Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye
Os Ke Lehjay Ka Asar Tou Hai Badi Baat “Qateel”
Wo Tou Aankhon Se Bhi Karta Howa Jadoo Aaye



Kia Nazara Bazm e Ghair ka mei Us Hoor Tal’at ka..

Kia Nazara Bazm e Ghair ka mei Us Hoor Tal’at ka.
Ye kya Maloom tha Dozakh mei Jannat aisi hoti hai.
.
Abhi to Khail Samjhy ho magar ik Din dikha deinge.
Qayamat isko kehte hain, Qayamat aisi hoti hai.
.
Hamari Shakal tere gham mei pehchani nhi jati.
Bigar jati hai Soorat b, Museebat aisi hoti hai.
.
Wo detay hain Tassali or phr Taskee’n nhi hoti.
Kabhi bechain ye Kafir tabiyat aisi hoti hai.
.
Ghazab mei Jan hai, Barson k shikwe bhool jata hu.
Kabhi do chaar din Unki Inayat aisi hoti hai.
.
Zra c baat pr ay DaaGh Tum Unsy bigartay ho.
Issi ka Naam Ulfat hai, Muhabat aisi hoti hai.


Chalo kuch dair hanstey hain..

Chalo kuch dair hanstey hain
Mohabbat per inayat per,
K be bunyad batain hain,
Sabhi rishtay sabhi naatey,
Zarurat ki hain Ejaaden,
Kahin koi nahi marta kisi k wastay jaana,
K sub hai phair lafzon ka,
Hai saara khel harfon ka,
Na hai mehbob koi bhi,
Mohabbat na zmaney main,
Pra’ey bhi hain phir apney,
Agr hai kuch khzaney main,
K is jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain,
Chalo kuch dair hanstay hain…
Usi ko yad krtay hain,
Jisay hum zeest kehtey thay,
K lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha,
K sung jis k her ek lamha khush-o-khurm lagta tha,
Jisay hum zindgi kehtey,
Jisay thay sha’iry kehtey,
Ghazal ka Qafiya tha jo,
Nazm ka jo k unwan tha,
Wo lehja jb bdalta tha qyamat khez lagta tha,
Waqt say agay chalta tha,
Bla ka tez lagta tha,
Jo saya bun k rahta tha,
Juda ab is k rastay hain….
Chalo kuch dair hanstay hain..
Chalo kuch dair hanstay hain…



Hum to faryaad-o-fughaan,aah-o-bakaa kartey hain..

Hum to faryaad-o-fughaan,aah-o-bakaa kartey hain
Jin se kuch ho nahin sakta,woh dua kartey hain
Khauf-e-mehshar se,woh kab tark-e-jafa kartey hain!
Bohat is tarah ke hungaamey hua kartey hain
Khoob khush baash guzar,ehl-e-safa kartey hain
Na khafa hotey hain aisey,na khafa kartey hain
Aik andaaz-e-sukhan,tarz-e-shikaayat thehri
Hum juda kartey hain shikway,woh juda kartey hain
Poochta hai jo mizaaj apna koi furqat mein
Mouh se itna hi nikalta hai,dua kartey hain
Kuch ta’alluq to rahey,shikwa-e-be-jaa hi sahi!
Na kiya tum ne gila,is ka gila kartey hain
Ya Elaahi! Mere darbaan se woh poochey aa kar
Kaun hai,kis se mulaaqaat hai,kia kartey hain?
Purshish-e-daawar-e-mehshar se darain kiun aashiq?
Yeh khatawaar to bandey ki khata kartey hain
Tum ko beemaar-e-muhabbat se bhi aar aati hai
Hum to achon ke liye roz-e-dua kartey hain
Apney koochey mein na kijiye,meri matti barbaad
Aap bhi khaak urraatey hain,yeh kia kartey hain?
Dastt-e-mizzgaan ka ishaara hai ke ruswa kijiye
Inheen haathon se woh angisht-e-numa kartey hain
Ab yahi zid hai ke hum qatal karain gey tujh ko
Woh to har baat mein apna hi kaha kartey hain
Un ko parwaah nahin,kiun dil ke khareedaar banain?
Muft ke qissey hi woh mol liya kartey hain
Aap ke ishq mein,jo mujh ko na karna tha,kiya
Dekhiye,aap mere waastey kia kartey hain?
Sabar karney ka humaare bhi yahi hai andaaz
Aap jis tarah se paimaan-e-wafa kartey hain
Sach kaha,tazkira-e-ghair se kia haasil hai?
Ek tamaashey ke liye,chairr diya kartey hain
Jaan balabb jaan ke mujh ko yeh payaam aaya hai
Lo mubarak ho ke ab ehd-e-wafa kartey hain
DaaGh ka rashk suna ghair se us ne to kaha
Us ki taqdeer mein jalna hai,jala kartey hain!!!


Ham k teri yado’n ki kehkasha’n banate hain..

Ham k teri yado’n ki kehkasha’n banate hain
Kaisey kaisey lamho’n ko jaweda’n banate hain
Zal zaley jo lata hai janta to wo bhi hai
Laug kitni mushkil se ik maka’n banate hain
Koi lafz likhte hain teri shakl banti hai
Khud bakhud hi banti hai, ham kahan banate hain
Toot kar bikharne ka dukh bhi jante hain ham
Bawajood iskey ham aashya’n banate hain


Main azal ki shaakh se toota hua..

Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,
Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,
Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,
Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,
Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,
Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,
Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,
Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?

No comments:

Post a Comment